|
|
| |
Mat nikalo mera janaza uski gali se Faraz. Warna uska baap kahega…
Sala martay martay bhi ek chakkar laga gaya…
|
|
| |
Ab to bijli bhi medicine ki tarah hogayi hai Faraz.
.
.
3 ghantay subha nashte se pehle.
.
.
3 ghantay dopaher khanay k baad.
.
.
3 ghantay raat sonay se pehle.
|
|
| |
Oh jee kyon bethe ho itne udaas?
Kia thappar maar kar bhaag gaya FARAZ?
|
|
| |
Load shedding main kia kia zulm nahi hoa hamaray sath FARAZ.
Naara kheench dala kisi zalim ne generator ki taar samaj kar.
|
|
| |
Hamari muhabbat ka imtihan mat lo “Fara” ki behen “Farzana”
Kyon k hamaray pehle hi imtihan ho rahe hain “Salana”
|
|
| |
Ye keh k Faraz ko chorh gaya Raja.
Wah Wah Wah
Ye keh k Faraz ko chorh gaya Raja.
K double sawari band hai too bus pakar k aja.
|
|
| |
Allama Iqbal farmatay hain…
ooper se sab dekh raha hon Faraz ka haal iqbal,
Acha hi hua k mene koi asan shair nahi banaya.
|
|
Ye badalti ratein, Ye doobtay arman
Ye jaltay diye, Ye bujhti shamaein
Ye kuch or nahi hai Faraz….
… Sirf K.E.S.C ka kamina pan hai...
|
| |
|
|
| |
|
|